Satguru Mata Savinder Hardev Ji Maharaj KI Jai Sad saNgat Ji Pyaar Se Kehna Dhan nirankar ji Iss Website mai apko Apne Mission Ke Sare Chije Dekhne Milegi aur agar na mile to aap niche comment karke daas ko batade to dass puri koshish karega vo suvitha ke liye Dhan Nirankar Ji

News

Tuesday, June 26, 2018

Nirankari Shayari's




Jindagi zahar bana ke di to kya.......... 


Jindagi zahar bana ke di to kya,
ese mai apne prando ko harne dungi,
Meera ki tarah ghunt-ghunt pi ke,
mai be asar kar dungi.......

Jindagi ret bana ke di to kya,
ese mai apne hatho se fisalne dungi,
apne aansuo se gunth - gunth ke,
es ghade ko khusiyo se bhar dungi,
khusiyo se bhar dungi.....................  


Wo gajal ya shayari hi kya..........

Wo gajal ya shayari hi kya,
jiske liye log alfaz dudha karte hai,
jeevan ke safar ko lafzo me piroya kar,
apni har shayari ko dard me bhigoya kar,
tute huye DIL ke tukodo ko uthate waqt,
dekh usme jindagi ke har sabd milenge,
bas un sabdo ko apni shayari me utara kar.


Khuda apne seene se....

Khuda apne seene se laga ke mera gam door kardo,
tujhe bhula na pau mujhe itna majboor kar do,
meri har baat me sirf baat teri ho hardam,
mai kisi or ko na dekhu mujhe itna magroor kardo...



Barbad huye ja rahe..... 

Barbad huye ja rahe the sabne hame sataya tha,
roj girte par kisi ne na hame kabhi uthaya tha,
tab khuda ne hi dil me ummid ka diya jalaya tha,
mera gam mita kar mujhe jeena sikhaya tha....... 


Soch ko badlo...... 

soch ko badlo sitare badal jayenge,
najar ko badlo najare badal jayenge,
kistiya badalne ka kya fayeda,
disa badlo kinare badal jayenge......


Rat bhar ka mehma hai....... 

rat bhar ka mehma hai andhera,
kiske roke kuka hai sabera,
rat jitni bhi sangeen hogi,
subah utni hi rangeen hogi,
kiske roke ruka hai sabera.......


Soch sab ki ek......

Soch sab ki ek jaisi ho ye to jaruri nahi,
khud ko khud ki khabar ho ye jaruri to nahi,
log karte to hai bin gyan (din-rat)prabhu ke sajde,
lekin unke sajdo me asar ho ye jaruri to nahi...


Gar dekhana hai khuda...............

gar dekhana hai khuda to khudi mita dekh,
kuchh der eski yaad me aansu baha ke dekh,
bande tamam hai kadar ke samne,
jhagda ye jat pat ka dil se mita ke dekh,
har dil pe eska jahur hai,
jahir ye har jagagh pe hai nigahe utha ke dekh......


Aadmi khud ko nafrat se.......  

aadmi khud ko nafrat se jalata kya hai,
pyar se jindagi ji tera jata kya hai,
kis liye etni macha rakhi hai hay tauba,
akhiri waqt bata sath me jata kya.........



Chhupte nahi ho samne......

chhupte nahi ho samne aate nahi ho tum,
jalwa dikhake jalwa dikhate nahi ho tum,
haira hu es dil me samaye ho kis tarah,
halanki do jaha me samate nahi ho tum....



Kya koi kimat nahi hai....... 

Kya koi kimat nahi hai aadmi ke chehro ki,
pattharo ki saklo ko pujta jamana hai.....



Khud se karo pyar.......... 

khud se karo pyar to,
har ensan se pyar kar paoge,
khud ko badlo to,
sansar badal paoge ,
kisi ki kamiiya ,
kyu nikalte phirte ho,
khud ki nikalo to,
gudo ki khan ban paoge........



Pyar hi aadmi ko insaan...........

Pyar hi aadmi ko insaan bana deti hai,
lagan har muskil ko asaan bana deti hai,
sab jante hai pathar bhagvan nahi hai,
par sabka biswas hi pathar ko bhagvan bana deti hai....




Apni hasi se har gam.................. 

Apni hasi se har gam ko chhupalo,
baate bahot karo par kuchh na batao,
rutho na kabhi tum par sabko manalo,
ha es jindagi ke raz ko bas jeete chale jao..... 


Kabhi kabhi jazbaat kahi................


Kabhi kabhi jazbaat kahi dab jaate hai,
woh hote hai par najar nahi aate hai,
jaise phoolo ki yad aati hai kaaton ko chhune par,
waise risto ki samajh aati hai fasalo pe rahne par....



Tum itna udo ki aasman............. 


tum itna udo ki aasman ko pa sako,
pyar itna karo ki khuda ko pa sako,
ha jeene ke liye to pal bahot kam hai,
par jiyo aise ki har pal ko jindagi bana sako....



Bina dard ke khushi ka...........


Bina dard ke khushi ka pata nahi chalta,
bina roye kabhi hasi ka maja nahi milta,
khuda jo bhi karta hai bas wahi janta hai,
agar sab jaane to lab pe khuda ka naam kabhi aa nahi sakta...



Kabhi na simtegi agar........

Kabhi na simtegi agar zindagi bikhar jayegi,
zindagi zulf nahi jo fir se sawar jayegi,
jo tumhe pyar kare thaam lo daaman uska,
fir zindagi roke nahi has ke gujar jayegi....



Riste hamesha dono taraf se.....

riste hamesha dono taraf se jude ye jaruri to nahi hota
risto me hamesha pyar hi mile ye jaruri to nahi hota.
agar jeena hai jindagi to gulab se sikho,
jo khud to tut kar bhi hamesha dilo ko jod jata hai..



Log khuda ko hamesha....

Log khuda ko hamesha upar batate hai,
jab ki khuda se koi jagah na khali hai,
log khuda ko mandir ya masjid me batate hai,
jabki puri duniya khuda me hi samayi hai.... 



Apne sapno ko apna.....

Apne sapno ko apna arman bana lo,
sabki hasi ko apni muskan bana lo,
zindagi ki suruwat kinaro se hi sahi,
par samandar ki gehrai ko chune ke erade bana lo.  



Ajeeb hai ye duniya....


Ajeeb hai ye duniya ki dastan dosto,
agar kisi ke paas sab kuchh hai to,
jane ku ye duniya jal jati  hai,
agar kuchh nahi to use duniya hasi udati hai..


Koyal ki tarah gaate.... 

koyal ki tarah gaate raho,
samandar ki tarah lahrate raho,
rab ne di hai jab jindagi hame,
to haste raho aur hasate raho...


Aane wala pal kuchh....

Aane wala pal kuchh ek kadar aata hai,
esi me bita hua hame kal najar aata hai,
yaadein hi hoti hai yaad karne ke liye,
warna waqt to sab kuchh leke gujar jata hai...

Uljhi huyi zindagi ko..... 

Uljhi huyi zindagi ko suljhaye kaise,
jo apna nahi use apna banaye kaise ,
samandar me tufan bahot aate hai,
wahi ghar banana hai banaye kaise...


Meri khamosi meri.....  

Meri khamosi meri kamjori hai,
kuchh na kah pana bhi majburi hai,
log kabhi nahi samjhenge meri khamosi ko,
esliye khamosi ko juba dena bhi jaruri hai...


Kahte to log hai kisi...... 

Kahte to log hai kisi ek ke chale jane se,
zindagi adhuri nahi hoti,
ha lakho ke mil jane se bhi us ek ki kami,
kabhi puri nahi hoti........


Jeena chahti hu par...... 

Jeena chahti hu par jindagi raj nahi aati,
marna chahti hu par maut pass nahi aati,
hasne se pehle hi udas ho jati hu mai,
kuki teri yaade tadpane se baaj nahi aati...


Dosti wo nahi....... 

Dosti wo nahi jo dil tod de,
tham kar hath sath chhod de,
dosti karo to pani aur machli ki tarah,
koi juda karna chahe to dam tod de........


Zindagi bahot khubsurat hai.... 

Zindagi bahot khubsurat hai zindagi se pyar karo,
agar andhera hai to thoda subah ka intjar karo,
wo pal jarur aayega jiska besabri se intjar hai apko,
ha rab par bharosa aur waqt pe tum jara aitbaar karo...


Ye khuda tujhese sabhi....

Ye khuda tujhese sabhi pyar karte hai,
kash sabhi ko tere bando se bhi ulfat ho jaye,
chun chun ke fool kanto se sab tujhe chadate hai,
kash sabko iska matlab sabko samajh me a jaye,
to har insan ke raho me kante nahi fool bikhar jaye..


Teri is duniya me .... 

Teri is duniya me ye manjar kyu hai?
kahi jakham to kahi peeth me khanjar kyu hai?
khuda tu har zarre-zarre me hai to fir, 
zameen par kahi maszid to kahi mandir kyu hai??
jab zameen par rahne wale sab apne hai to,
koi kisi ka dost or dusman kyu hai????????


Is duniya mei....  

Is duniya me milti hai na jane kitni muskil,
use paar karne wala pata hai hamesha manjil,
dekh ke jo muskil apni rahe badal lete hai,
wo kabhi bhi apni jindagi ke sikandar nahi hote.

Har insaan me.... 

Har insaan me kuchh khas baat hoti hai,
waqt ke sath hi unki pehchan hoti hai,
kisi ko thokar marne se pehle ye to socho,
kabhi tum giro to uthane wale hath kahi uske na ho.


Phoolo ki tarah..... 

Phoolo ki tarah sabki jindagi mehka do prabhu,
kaliyoun ki tarah hotho pe muskan la do prabhu,
meri bas tujhse itni si khwayish hai prabhu,
sabke jeewan se gam sada ke liye mita do prabhu.


Andhera samajh ke.... 

Andhera samajh ke tu so mat jana,
ha tu bas ek bar diya to jalana,
muskilo ko dekh ke har mat jana,
jindagi ki muskilo se hi tu apni,
is bhari duniya me pehchan banana. 

Zindagi ka naam....

Zindagi ka naam hi sukh dukh ka fasana hai,
ha iska raaz hai sada youn muskarane ka,
ye to koi pal do pal ki baat nahi hai,
ha iska sath hai sari umra nibhane ka...


Us rah pe.... 

Us rah pe kabhi mat jao,
jaha har koi jata hai,
waha jao jaha koi rah na ho,
rahe banao or apni chhap chhod jao.


Dard milna dastoor.... 

Dard milna dastoor hai jindagi ka,
ha ye kissa mashoor hai jindagi ka,
yaad aate hai wahi pal jo gujar jate hai,
ha sabse bada kasoor hai ye jindagi ka...


Rahe kitni bhi..... 

Rahe kitni bhi uljhi ho par,
kisi na kisi manjil pe le jati hai,
sola kitna bhi dahke par khud bujh ke,
hamesha rakh ko chhod jati hai,
muskile kitni bhi aaye jindagi me ane do,
ha eske bad saflata hame has ke gale lagati hai...


Mehnat se hi..... 

Mehnat se hi ret ki lakeer khichi jati hai,
ha tabhi jindagi ki, taqdeer jiti jaati hai,
ha sabne kaha hai hamesha kahaniyio me bhi,
karo mehnat to ,tasveer badal jaati hai...


Na kar Gunah itna.....

Na kar gunah itna ki nigah jhuk jaye,
teri khamoshi tera gunah kah jaye,
chot na de kisi ko itna tu kabhi bhi,
uska dard tere seene se nikal aaye... 



Apni kahani maine.....

Apni kahani maine kore kagaj pe likh di,
har khusi aur har gam maine likh di,
mera dard nikalne laga jab lafjo me,
ha sabne kha wah kya gajal likh di...



Jism chalane ke....

Jism chalane ke liye to,
seene me jaan jaruri hai,
jeena hai jindagi to,
dil me armaan jaruri hai,
kya hua seene me mere dard sahi,
mere liye to sabke chehre pe ,
muskaan jaruri hai..........



Apne dil me kuchh.... 

Apne dil me kuchh sapne saja lena,
use pane ka armaan jaga lena,
fir muskile aaye to kya hua,
muskilo se ladne ka hausla jaga lena.



Zindagi unko hi.... 

Zindagi unko hi ajmati hai,
jo haqiqat se door hote hai,
zindagi unhe hi rulati hai,
jo har taraf se bekasur hote hai..


Alfaaj wahi hote.... 

Alfaaj wahi hote hai par,
matlab sab apna apna nikalte hai,
khus kaise rahe jindagi me,
ye sochte sochte jindagi nikal jati hai.


Manjil ki talaas.... 

Manjil ki talaas karte karte,
zindagi maut ki or le jati hai,
thokar jab lagti hai waqt ke sath,
to waqt hi sabko jeena sikha jati hai.  


Beete huye waqt....

Beete huye waqt ko yaad mat karo,
khuda ne jo likhi taqdeer fariyaad mat karo,
jo ho raha hai usko bas hone do,
kal ki fikra me tum aaj ko barbad mat karo...



Bebas hai ham......

Bebas hai ham,or jakhmi hai nigahe,
chot aisi lagi ki ham na uth paye,
raste sabne bataye par manjil nahi mili,
ham to raho me es kadar kho ke rah gaye...


Khwab to tut chuke... 

Khwab to tut chuke sukhe gulab ki tarah,
ab to jindagi sirf kanto pe chalne lagi,
jis jis pe kiya bharosa had se jyada,
diya hai dhokha bhi usne had se jyada..


Log jindagi me.... 

Log jindagi me apni khusiya bharne ke liye,
apno ko pairo tale kuchalte jaate hai,
raund dete hai sabke armaan safalta samajhe ke,
ha jindagi ko apna armaan banate hai,


Jindagi kisi ke..... 

Jindagi kisi ke liye nahi rukti,
bas jeene ki wajah badl jaati hai,
ha yahi wajah jindagi me hame,
aage badne ka hausala jagati hai... 


Khuda ne bhi ajeeb...

Khuda ne bhi ajeeb jindagi bakhsi hai,
chahat hajaro dil me or muskilo ka sansar mila hai,
jindagi bhi gujarti hai imtehan ke daur se,
ek khatam hota hai to dusara tayar mila hai.......



..